Learning from Attack of 26/11.....

Jese mere gurudev bata te hai manushya ka prakrutik multah swabhav hai prem karna, jese ek kutte ka swabhav hota he apne malik ki raksha karna, ghode ka dharm hota hai, tej dodna thik vese hi manushya ka multah swabhav prem ka hai..

Manushya jab bhi prakrutike viruddh me kam karta he tab wah apne hi liye nahi parantu pure samaj ke liye badha khadi karta hai.

2008 main hua antakwadi hamla.. ek amanviya pravruti hi he, Aaj yadi kisi bhi vyakti vishesh ke vicharo ko badla na he, uske swabhav ko badlna he to wah keval aur keval mitrata se hi sambhav he. Kabhi dekha he ek dusman dusre dusman ko dil se badlpaya kya ? hruday parivartan keval aur keval mitra bankar hi ho sakta he, 26/11 jese hamle karke dusnavat ko jamn diya gya.. yese kabhi shanti samaj ne aahi nahi sakti.

Manushya ek shanti priya prani hai, fir wah koi bhi ho puri jindgi shanti ke liye he jite raheta hai.  Nirdosh logo ki jaan leke koi ruh ya aatma kabhi bhi shanti ko prapt nahi kar shakti, dikhave ke liye bahar se shant he yesa natak kiya ja shakta hai, par vastav main uske bhitar ki aatma usse yuddha karti raheti hai, kyoki aatma kadi kisi ke mot ke liye raja (permission) nahi deti. wah bar bar ek hi bat batayegi puri jindgi bhar, tuje maine mana kiya tha fir bhi tune ye kam kiya.

wastav me antakwadio ne bhi hamle ka rasta is liye chuna kyo ki use Shanti chahiye, par attack karke woh shanti ko prapt hue kya?? woh to uski aatma hi janti he.. vastavikta kya hai, ha yadi weh log kishi gunhegar se badla le to baat samaj main aati hai, par nirdosh logo ki hatya... ye baat kaha tak sahi hai. Dharm yani kya karna chahiye kya nahi karna chahiye uska gyan, koi bhi dharm aatma ke viruddh ka kam karna nahi shikhata..

Kher.. yese attack bhavshya me na ho yahi prabhu ke charno me prarthna... Us attack me nirdosh logo ji jaan gayi un sabki aatma ko santi mile ishi prarthna ke sath

Ashtu...


Share this:

ABOUT THE AUTHOR

Hello We are OddThemes, Our name came from the fact that we are UNIQUE. We specialize in designing premium looking fully customizable highly responsive blogger templates. We at OddThemes do carry a philosophy that: Nothing Is Impossible

0 comments:

Post a Comment