A light Evening with manjibhai rudabhai dholakia

Aaj ke din company ke kam se shri manjibhai rudaji se milne ka sadbhagya prapt hua..

Is post me kuch bhi likhne se pahele manjibhai ke bare me janna jaruri pratit hota he..  Manjibhai dimond industry me ek bada nam,  surat,  bhavnagar,  mumbai ke alava desh videsh me unka vyapar vikshit hua he..  Unke kahene ke mutabit dimond me production badha ne ki jo system saru hua woh usse saru hua tha aur unki bat bhi sahi he jab dimond me technologi nahi thi tab woh itna production nikalte the ki baki dusre log unki bat manne ko taiyar nahi hote the or unki polishing ki padhdhti dekhne dir dur se log bhavnagar me aate the. Aaj unki company multinational he. Ese vyakti ko sunna mere liye sadbhagya ki bat he.

Unka interview lene ke purpose se usse milne ka avsar mila,  halaki interview lene wale ******** ke team member the joki me jis company me kam karta hu uske branding ka kam dekhte he. Govindbhai dholakia ke 50 years surat me complete karne par ek book chhapne ja rahi he usne unka lekh prakashit kar e hetu interview lene gye the.

Halaki interview ke liye 20 min ka samay liya gya tha par bato bato me kab 2 ghante ho gye uska pata hi nahi chala.

In bato ke dauran unke jivan ki kafi sari bate janne ko mili...  Sari bate likhna posible na hone ke karan muje jo unse janne ko mila woh aap sab ke sath share kar raha hu...

Unki bat adhyatmikta par adharit thi,  or mera swabhav bhi adhyatmik hone ke karn unki batoko sun ne me bada maja aa raha tha..  ( me to ipad me interview ka video recourding kar raha tha par chit pura unki bato pe tha.) unki puri bat 3 chijo ki aaju baju thi...

1) Kalpvruksha
2) Sakaratmak niti
3) Nidar bano..

1) Kalpvruksha..

Unki bat me unho ne kalpvruksha ki bat ki..  Kalpvruksha ek esha ped jaha pe ham jin chijo ki kalpna karte he woh sach ho jata he.. Unke jivan me usne paheli bar bike ke liye kalpna kithi or use woh 3 mahine me mili thi joki pure bhavnagar me eshi paheli gadi hongi..

Unke kahene ke anushar hamare pouranik shastro me kalpvruksha ka ullekh he par esha ped kabhi bhi paya gya nahi he.. Yadi ye bat galat hoti to abtak woh shastra mese hat jani chahiye thi par abhibhi woh jyokityo he iska batlab woh bat sahi he. Uske kahene ke mutabit  Kalpvruksha hamare hi mastiksha ke uper shuksh me hota he..  Ham hamare mind me jo chintan karte he jo sochte he woh upper kahi esha sthan he jaha pahonch jati he or hame woh chij miljati he bus jarurat he to kalpna karneki...

Unki bat sunke muje mere gurudev shree shivkrupanadji ki bat yad aa gai,  vastav me yah chit shakti hi thi...  Manjibhai ruda ki chit sakti shashakt hone ke karn woh jo bhi chintan karte use prapt ho jata tha..  Har koi yesha nahi kar sakta ha par hamari chit shakti shasakt he to hamse bhi yah shakya he..

2) Sakaratmak Niti..

Hammesha sakaratmak niti ke paksha me hi raho..  Unke sath hue puri bat gujarati me thi. niti ka ulta kare to tini ( silay ki soi ka sabse chhote vale bhag jina chhed) ke bare me bataya,  usne samjaya ki niti ki laksham rekha paar karte he to niti ka ulta tini hojata he.. Example dete hue samjaya ke yadi pani se bhare bade bartan me yadi tini jitna bhi chhed ho jata he to 3 din me bartan ms bhara hua sara pani nikal jata he or jamin me chale jane ki vajah se kaha gya kuch pata hi nahi chalta( Pani bund bund me bat jata he..  Collectivity na hone ke karn pani kaha gya uska pata nahi raheta usi sandarbh me usne bat ki) ...

To aniti se jitna bhi pani ho sara chala jata he..  To niti sakaratmak rakhne ka sandesh unke pass se sandesh mila.

Nitivan vyakti me sakaratmakta bhari padi hoti he,  joki unke confidence me badhotri karta he,  aur successful hone ke liye confidence bahut hi jaruri he..

3) Nidar Bano...

Unki bato mese muje sabse achha laga ki yadi hamne kuch galat kiya hi nahi he to darne ki aavashakyata he hi nahi...

Sher bhi jab shikar karta he to pahele woh dekhta he kis prani ki ankh me dar he jinki ankho me dar ho usi ko apna shikar banata he.. Jo usse darta hi nahi usko woh kuch nahi karta ( Satadhar ka Sher vale kishe ka udahar batakar puri bat ko samjaya).

Jivan me nidar banne ka sandesh unse prapr hua, yadi ham nidar he hamari niti achhi he to hame kishishe bhi darne ki jarurat nahi he.

Dar usko lagta he jinki niti me khot ho yani aniti ka rasta pakda hua ho.. Niti se chalne vale hi is duniya ne lambe samay tak rah sakte he..

To yah thi mulakat manjibhai ke sath...  Halaki jobhi bate hue unka sirf 10% hi me yaha pe likh paya hu par agli bar jab bhi shar karunga mere anubhav isne pakka sudhar hota chala jayega..

Share this:

ABOUT THE AUTHOR

Hello We are OddThemes, Our name came from the fact that we are UNIQUE. We specialize in designing premium looking fully customizable highly responsive blogger templates. We at OddThemes do carry a philosophy that: Nothing Is Impossible

0 comments:

Post a Comment