Din ki saruaat ''tip(Daan) '' se...

Roj sabere job ke liye autoriksha se me ambatalavdi (area) jata hu. Halaki ghar pe do bike he par kisi karn se use nahi le ja sakta ( travelling car se hone ke karn sam ko shidhe ghar jana raheta he to bike ambatalavdi vale area me karada me farm pe raheti he).

Roj Sabere taiyar hoke job ke liye ghar se 8-8:30 baje nikl jata hu.. Surat dimond city hone ke karn aur ashram area (jaha se me ambatalavdi jata hu)  dimond ki factory se bhara pada he..  Takriban 70 jeshi badi dimond company katargam me he aur na jane kitni hi chhoti registered and non registered organizations hogi.  Inke karan sare log ashram ki aur job ke liye aate he (autoriksha se bhi).  To riksha return me puri khali jati he...  Yeshi rikhsha me me jata hu..  Badi hi jaldi miljati he aur woh bhi jyadatar puri khali hoti he ( Surat me riksha sharing pe chalti he,  jabtak puri riksha bhar nahi jati woh driver wait karta he).  Ashram se ambatalavdi ke 8 rs.  Hote he par me har roj riksha driver ko 10 ruppe deta hu..

Isse muje badi khushi milti he,  me ye ruppe meri atma anand ke liye deta hu.  Daan dene ke bad bada achha lagta he, halaki roj daan me 2 hi ruppe deta hu par badi prassanta ke sath deta hu..

Dharmesh shah,  samarpan dhyan ke vishwa pramukh rah chuke he aur halhi me unke 2 seminar doctoro ke liye surat me hue.  Usme usne bataya tha ki dan dete samay ham thoughtlessness wali sthiti me chale jate he.. Aur adhyatmik pragati ke liye chitshakti ko badha ne ke liye thoughtlessness bahut hi jaruri he.

Dan ki kahi saari paribhasha he..  Sirf paise se kiya gya kary hi dan nahi he...  Kisi ko apna samay deke niswarth bhav se madad karna bhi dan hi he.

Yese daan ya tip se din ki saruat badahi atmaanad pradan karta he.  Vastav me dan atmsantusti ke liye kiya jana chahiye naki dikhave ke liye..

Autoriksha me aate samay kahi bar eshi riksha bhi milti thi jisme road thik na hone ki vajah se kafi jatke bhi lagte the tab lagta tha ise tip nahi deni he par badme aatma kaheti he tu apne anad ke liye dan deta he naki unke liye..  Yese atma ke sandesh ko follow karne ke sasvat anad ki anubhuti nirantar hone lagi..

Bus yah bat aap sab ko batana bhi ek atma sandesh ka palan kar raha hu..  Prabhu se prarthna ki yah karya nirantar chalta rahe jabtak meri jivan yatra saru he...

Share this:

ABOUT THE AUTHOR

Hello We are OddThemes, Our name came from the fact that we are UNIQUE. We specialize in designing premium looking fully customizable highly responsive blogger templates. We at OddThemes do carry a philosophy that: Nothing Is Impossible

0 comments:

Post a Comment