Mera pahela blog 2009...

Mene pahela blog 2009 me banaya tha..  Blog ki saruat kuch yeshi thi ki muje pata hi nahi tha ki blog actually kya hota hai aur blog kyu banaya jaata hai. Par jane anjane me ek blog banadiya tha maine. Story mere liye to yad gar he aur interesting bhi...

To story ki saruat kuch is taraha se hai..  Bat 2009 ki he,  Mere bhai rajesh ne dewsoft karke ek multilevel marketing ki company join ki thi,  usi ki jaruriyat ko dhyan me rakhte huve mere bhai ne pahela mobile phone liya model tha Sony Ericsson j220i.

Us samay me bahut hi kam logo ke pass mobile phone hote the.  Tab yesa color wala mobile phone dekh ke bada achha lagta tha. Par us mobile images,  audio,  jesi koi bhi chij download nahi kar pata tha.  Fir ek din mobile ghumedte ghumedte internet profile set ki aur gprs se internet access hone laga..

Bad me usme internet browse karte karte Images bhi save karna shikh gya..  Fir achanak mere man me khyal aaya ki isme sare movie ke stars ke photo dikh rahe he to mere khud ka photo kyo nahi dekh sakta..  Bad me R&D start hua..  Fir mene google me umesh karke search kara to koi umesh ka photo aaya,  us photo ke URL ko page pe likha aur sidhe cyber cafe (lucky,  alkapuri,  8rs/hr) me chala gya..  Book me note kiya hua pura address browser me dala aur woh pic net pe dikha..  Us address ke domain ko find karke kaha pe host hua he woh find kiya..  Badme me shidha www.blogger.com pe chala gya. Woh puri site study ki to profile picture upload karne ka option mila..  Par kare kya..  Mera photo to mere pass nahi tha...  Fir photo pendrive me leke fir se cyber cafe me gya aur photo upload kiya..

Web browser se pura address copy kiya,  way2sms se mere mobile pe pura URL address SMS kiya to mere us mobile fone jis manually PC se photo download ka koi option hi nahi tha usme mera photo download kiya aur ghar pe sab ko bataya bada hi maja aaya,  badi khusi mili...

Bad me dhire dhire us blogger ki site study karta gya aur blogging shikhta gya aur khud ka domain bhi liya aur hosting bhi...  Woh blog ka address he www.tipsviablogging.com

Woh mobile Kafi bar bigda aur khud repair bhi kiya, uski body bhi kafi kharab ho gayi thi to woh bhi badli aur aaj bhi use sanjoke rakhkha he kyo ki uski wajah se hi aaj muje esha shokh mila jisse muje atmanad prapt ho rahahe..  Mene yaha pe us mobile phone ki internet pese original picture ke sath mere us mobile ki bhi photo attach ki he usse aap pata laga sakte he ki us mobile ka istemal mene kis had tak kiya hoga..

Astu...

Share this:

ABOUT THE AUTHOR

Hello We are OddThemes, Our name came from the fact that we are UNIQUE. We specialize in designing premium looking fully customizable highly responsive blogger templates. We at OddThemes do carry a philosophy that: Nothing Is Impossible

0 comments:

Post a Comment