Mahila Atyachar ke Jinmedar Koun?

Aaj mahila atyachar nivaran din ke uplakshya me ye post shar kar raha hu...

Bharat ek purush pradhan desh hai,  bharat ho ya anya koi aaj pure vishwa me purush varg ko badi pradhanyata di jati he.  Aaj hame mahilao pe atyachar ke anek kishshe sun ne,  dekhne aur padhne me milte he..  Ye baat to pichle kai sadio se chali aa rahi he,  Par prachar ke sansadhan badhne ke karan aaj viswa chhota sa ho gya hai,  iski wajah se aaj yah baat ko pura viswa jaan paya he aur yah samasya ke niwaran hetu kai sansthaye mahilao ne rakshan ke liye aage aayi he.

Aaj samaj ke dwara kiye gaye prayas keval bahar se mahilao ko surksha de rahi he,  par samashya ka mul bindu to vicharo ke sath bandha hua hai,  aaj yadi hame kuch badlav lana he to uske liye samaj ki vichar karne ki system kahe ya padhdhati ko hi badla hoga..

Sab log bimari ke upchar ki aur chal pade he,  par koi ye nahi chochta ke bimari hi na rahe to???

Bimari ko jad se khatam karne ke liye manushya ki prakruti (nature) ki jad tak jaana hoga. Manushya jesa vichar karta he vesa ban jata he,  yani aaj ek stri ke prati samaj ka kya najariya he use badalne ki aavasakyata he...  In sab baato me muje sabse bura laga to woh he ek stri hi dusri stri ke virodhdh ne khadi ho jati he..  Stri v/s purush ho to bhi samadhan ka rasta nikal sakta he par yaha to apne hi desh ke sainik aapasa me lad rahe hai, to fir dusre desh se ladne ki baat to bahut dur ki hai. 

Aaj strio ko atyachar se koi bacha sakta he to woh he swayam ek stri.. 

Dusra purush bhi kaha ashman ke tapakta he,  use bhi is dharti pe aane ke liye ek stri ki aavasakyta hai,  aaj purush apne mul bij ki jamin ko bhul raha he aur aapne aapko bada ped karta ja raha he,  par woh bhul raha he ki woh khada he to us jamin ke karn jisme us ped ke mul date hue he,  jamin hi nahi rahegi to fir tera khud ka astitva rahega kya?? 

Manushya samaj me pratyek ko chahe woh stri ho ya puruch sabko yah vishay pe aatma manthan evam chintan karne ki aavasakyta he. Koi bhi samasya ke liye samaj ke kishi ek varg ko doshi thaherana sahi nahi he..

Aaj stri bhrun hatya tabhi hoti he jab uski bachchi ki maa himmat har jaye..  Yadi pratyek maa apne aapko sasakt kare to pure samaj ne stri bhrun hatya hogi hi nahi...
Yese sakaratmak vicharo ke liye aaj meditation ki badi aavsakyata hai,  aaj viswa me samarpan dhyan hi ek esha rasta muje mila jaha pe strio ko purush saman tuly diya jata he,  mahilao ko aamta se sasakt kiya jata he,  ek eshi dhyan padhdhati he jaha pe purush bhi mahilao ko samtulya darja deno ko taiyar he..
Astu...

Share this:

ABOUT THE AUTHOR

Hello We are OddThemes, Our name came from the fact that we are UNIQUE. We specialize in designing premium looking fully customizable highly responsive blogger templates. We at OddThemes do carry a philosophy that: Nothing Is Impossible

0 comments:

Post a Comment